Blogger blog ki basic settings kaise kare ? - Smartbtechnic

Blogger blog ki basic settings kaise kare ?

Blogger blog ki basic settings kaise kare ?

Namaste doston,
agar aapne blog website banai hai to sabse pahle apko blogger ki basic setting karni bahut jaruri hai, 
To Chaliye aaj main aapko blog website ki basic setting kaise karte hain batata hun.
Sabse pahle aap apne blogger  dashboard ke settings me jaiye.
Yahan se aapko blog ki basic setting karni hai.

1. Title : yaha per aapko apne website ka title likhna hai.

2. Description : aapki website jis topic par hai uske bare me yaha jankari deni hai.
For Example - computer and mobile tricks, earn money online, internet, blogging etc.

3. Blog language : aapki website ki language English hai to yaha English select kare.

4. Privacy :
1. Visible to search engines - ON
     Aapki website search engine me show hone ke liye ise ON karna bohot important hai. Isliye ise ON kare.

5. Publishing :
1. Blog address -
Blog address me apke blog ka address hota hai. aap chahe to ise change bhi kar sakte hai.

2. Custom domain :
Blogspot.com ye free domain hain, agar ap domain name change karna chahte hai to aap domain buy kar ke yaha submit kar sakte hai.

6. HTTPS: 
HTTPS Redirect - ON
     Https option ko Enable kare. Enable karne se aapki website secure ho jayegi.

7. Parmission :
1. Blog admins and author : 
Yaha per aap apni blog ka admin and author name likhe.

2. Pending author invite :
Ager aapne dusre author ko apna blog likhne ke liye invite kiya he to yaha show hoga.

3. Invite more authors :
Aap yaha se apne blog ke liye email dvara invite kar sakte hai.


4. Reader access : public
Reader access aapko public select kare, public karne se apki website ko search engine me sabhi dekh sakenge.

8. Posts : 
Max posts shown on main page - 7.
     Website ke home page par kitne post hone chahiye wo aap yaha se adjust kar sakte hai.


9. Image lightbox : ON
     Image lightbox ko ON karne se apki website ke image pop-up ki tarah open ho jayege.

10. Ideas panel : ON 
     Ideas panel ko ON karne se aapki website me visitor ko suggested topic aur questions show hoge isliye ise ON kare.

11. Comments :
1. Comment location : Embedded.
     Comment location Embedded karne se apki post per visitor comments kar payenge.

2. Who can comment ? : user with google account.
     user with google account select karne se jis user ka google account hai vahi user comment kar sakte hai.

3. Comment moderation : Always
     Comment moderation me Always select karne se jo bhi user comment karege to sabse pahle comment approvel ki apko notification aa jayegi.

4. Reader comment captcha : disable
Reader comment captcha ko disable rahne de.

12. Email :
Post using email - Disabled
Post using email ko Disabled rahne de.

13. Formatting :
1. Time zone : (GMT+05:30) India standard time - Kolkata.
Apni country ka time set kare.

2. Date header format :
Yaha per aap date header ka format select kar sakte hai.

3. Timestamp format :
Yaha se timestamp format set kar sakte hai.

14. Meta tags :
Enable search description - ON
Meta tags website ke liye bohot important hota hai, isase website search engine me rank karti hai isliye is option ko ON kare.

15. Search description :
Search description me aap apni website ke main topics, categories, aur search keywords likhe,
For example - computer and mobile tricks and tips, earn money online, internet, blogging etc.

16. Crawlers and indexing :
1. Enable custom robots.txt - ON
Enable custom robots.txt ko ON kare.

2. Custom robots.txt :
Custom robots.txt file se googlebot ko apni website crawling karne ke liye Allow aur Disallow command deni padti hai. Isase hume apni website me se konse pages crawling karne dena hain aur konse nahi wo yaha se command de kar bata sakte hai. Isliye custom robots.txt file humari website ke liye bohot important hoti hai.

Code box me Custom robots.txt code hain. 👇

☝️ Is code ko copy kare aur Custom robots.txt box me paste kare aur Yourdomain.com ki jagay apne blog ka url likhe.

17. Enable custom robots header tag - ON
Enable custom robots header tag ko ON kare.

1. Home page tags :
Isme - [ all ]
           [ noodp ]

Enable kar ke save kare.

2. Archive and search page tags :
Isme - [ noindex ]
            [ noodp ]

Enable kar ke save kare.

3. Post and page tags :
Isme - [ all ]
            [ noodp ]

Enable kar ke save kare.

Bas Itna karne se apke Blogger ki basic settings complete ho jayegi.


Favicon kya hai ? Blog ya website me Favicon kaise add kare ?
Smartbtechnic

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form