How to remove ?m=1 from URL in blogger ? - Smartbtechnic

How to remove ?m=1 from URL in blogger ?


How to remove ?m=1 from  blogger URL?

How to remove  ?m=1 from URL in blogger ?

Hello friends,

Blogger ki new website banane ke bad aapne ek baat notice ki hogi ki hamare website URL ke last me ?m=1 hota hai.

For example : https://yourdomain.blogspot.com/?m=1

Jab hum blogger se new website banate hai tab Ye blogger.com ki taraf se humari website ke URL ke last me automatically ?m=1 ban jata hai. Waise to ?m=1 se koi problem nahi hoti. Lekin Aage chalkar problem ho sakti hai kyu ki isase humari website ka URL dikhne me acha nahi lagta. URL dikhne me acha aur asan hona chahiye, Isiliye hume apni website ke URL me se ?m=1 ko remove kar dena chahiye.


Jab hum apni website open karte hai aur address bar me URL pe click karte hai to hume apni website ka URL kuch is tarah se dikhai deta hai, screenshot dekhe 👇


How to remove ?m=1 from  blogger URL?

To chaliye aaj me apko apne blog ya website ke URL me se ?m=1 ko kaise Remove karte hai ye batata hu.

How to remove ?m=1 from blogger URL? Blogger blog ke URL me se ?m=1 kaise Remove kare ?

New website ke URL me se ?m=1 ko remove karna bohut aasan hai. URL me se ?m=1 ko remove/fix karne ke liye Mere bataye hui information ko step by step follow kare.


Website ke URL me se ?m=1 remove karne ki step.

Maine ?m=1 ko remove karne ke liye code box me ek code diya hai.👇


Step :
1. Sabse pahle Code box me diye hue code ko copy kare

2. Code ko copy karne ke baad apne Blog ka dashboard open kar ke theme option me jaye.

3. theme option me jane ke baad sabse pahle theme ka backup le aur Edit HTML par click kare.

4. Ab apke samne theme ki HTML file open ho jayegi. Yaha apko </body> tag find karna hai. < /body> tag html file me sabse niche hota hai isliye niche scroll kare file ke end me apko </body> tag mil jayega.

5. Agar aap computer ya laptop se kar rahe he to theme ke html file me kahi bhi click kar ke control +F press kare, ek search box aa jayega us search box me </body> type kar search kare apko </body> tag mil jayega.

6. </body> tag find hone ke baad copy kiye hua code ko </body> tag ke thik uper paste kare aur html file save kare. Example ke liye screenshot dekhe 👇

How to remove ?m=1 from  blogger URL?

Bas itna karne se apke blog website ke URL me se ?m=1 remove ho jayega.👍

. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 
. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 
Smartbtechnic

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form