Blog ko Google search console me kaise add kare ?
Namaste doston,
Hamari website ko Google search engine mein show hone ke liye hume Apni website ko Google search console mein submit karna bahut jaruri hota hai.
Website ko Google search console mein submit karne se Google hamari website ko Search kar payega jisase humari website aur post Google search engine me show hone lag jayegi.
To chaliye me apko batata hun ki website ko Google search console me kaise submit karte hai.
Blog / Website ko Google search console me kaise add kare ?
Step 1. Go to Google.com and open the Google search console.
Sabse pahle aap Chrome browser se Google.com site open kare, uske baad Google search console type kar search kare, aapko Google search console ka link dikhai dega ( https://search.google.com) us link par click kare.
Step 2. Click on start now icon.
Ab aapke samne ek new window open hogi usme start now par click kare.
Step 3. Welcome to Google search console : >> URL PRRFIX
Yaha apko website verification ke liye 2 option diye jate hai.
1. DOMAIN 2. URL PRRFIX
Aap URL PRRFIX select kare aur apni website ka url enter kare.
For example: https://www.Yourwebsite.com
Apni website ka url enter karne ke baad CONTINUE par click kare.
Step 4. Verify ownership : >> HTML tag
website verify karni ke liye yaha apko multiple method mil jayege. Yaha aap HTML tag select kare. HTML tag select karne ke baad apko ek code mil jayega us code ko copy kare.
Step 5. Go to Blogger's dashboard > theme > Edit HTML.
Code copy karne ke baad apko blogger dashboard ke theme section me jakar sabse pahle theme ka backup file le aur fir Edit HTML par click kare. Apke samne theme ki HTML file open ho jayegi. ab control F press kar ke <head> tag find kare.
Uske baad copy kiya hua code <head> tag ke niche paste kare aur save kar dijiye.
For example : <head>
<Paste here verification code>
Verification code theme ke html me paste kar ke save karne ke baad wapas Google search console me jaiye aur Verify ownership me jakar VERIFY par click kar ke Done kar dijiye.
Apki website Google search console me submit ho jayegi.
Ab apko Google search console me sitemap submit karna hoga.
Sitemap kaise submit kare ? :
Google search console me Website ka Sitemap submit karna bohot aasan hai.
Sitemap submit karne ke liye Google search console me upar left side me three dash par click kar ke SITEMAPS par click kare.
Ab yaha Enter Sitemap URL me "Sitemap.xml" type kar ke submit par click kare.
Sitemap submit ho jayega.
Blog ya website ko Bing webmaster tool me submit kaise kare ?
Smartbtechnic