Blog post me image kaise add kare ? - Smartbtechnic

Blog Post me image kaise add Kare ?

Namaste dosto,

Aaj hum janenge ki blogger post mein image kaise add karte hain. Hamen Apne website ki post ko achcha look dene ke liye post mein kam se kam ek image add karni hi chahie.

Post mein image lagane se post dikhne me achchi lagti hai jiski wajah se visitor ko humari post padhne me bhi intresting lagti hai. Isliye hamen apni website ki post mein image add karni chahiye.

To Chliye main apko step by step batata Hun ki post mein images kaise add karte Hain.


Image ki size aur type :

Image size = 640×360 honi chahiye aur

Image type = webP or JPEG.  ( Webp type best hoti hai isliye image type webP hi use kare )


Blogger post mein image kaise add Karen ?

Sabse pahle blogger ka dashboard open Kare. Uske bad post par click Kare aur jis post mein image add karna chahte ho wo post open Kare. 

Post open karne ke bad likhe hue article mein jis jagah image add karni hai waha click kare.

Uske baad post setting ke left side me three dot par click kariye apko image upload karne ka icon dikhai dega. us image icon par click kare aur upload from computer option select kare.👇

Blogger blog post me image kaise add kare ?


Upload from computer option select karne ke baad choose file par click kariye. Click karne ke baad apke computer ya mobile ki gallery open ho jayegi. 👇 
Blogger blog post me image kaise add kare ?

Gallery open ho jaane ke baad jo image add karni hai use choose kare aur select par click kare.👇
Blogger Post me image lagaye

bas itna karne se post me Image add ho jayegi.👍

. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . .

Blog ya website ko Google search console me kaise add kare ?

. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . .

Smartbtechnic

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form