Blog ko Google analytics me kaise add kare ?

Blog ko Google analytics me kaise add kare ?
Blog ko Google analytics me kaise add kare ?
Hello friends,
Aaj hum is article se janege ki Google analytics kya hai aur blog ko Google analytics me kaise add karte hai ?

1. Google analytics kya hai ?
Google analytics ek free website Analyze tool hai jo website ko Analyze kar ke website ki organic traffic aur page views ki puri jankari deta hai.

2. Blog ko Google Analytics me add karne ke fayde :
Blog ko Google Analytics me add karne se Google Analytics tool humare blog ko Analyze kar ke blog ki traffic aur page views ke bare me puri jankari deta hai.
For Example :
1. Blog par daily kitna traffic aa raha hai.
2. monthly kitna traffic ho raha hai.
3. Konse country se kitna organic traffic aa raha hai.
4. daily kitne page views ho rahe hai.
5. Konsi post par jyada impression aur views ho rahe hai.
Is tarah se Google Analytics ki madat se hume apne blog ki organic traffic aur page views ke bare me puri jankari mil jati hai.
Isliye apne blog ki organic traffic aur page views ka pata lagane ke liye hume apne blog ko Google Analytics me Add karna chahiye.

Blog ko Google Analytics me kaise Add kare ?
Sabse pahle Google.com me jaye aur Google Analytics tool type karke search kare. Uske baad Google Analytics tool ke link par click karke Google Analytics tool open kare.

Google Analytics tool ka page open ho jane ke baad Start Measuring par click kare.

Start measuring par click karne ke baad new page open ho jayega, yaha apko Google Analytics ka account create karna hoga. Google Analytics ka account banane ke liye muze step by step follow kare.

Step :
1. Account setup :
My account name -
Yaha ( Account name likhe ) aap jis name se account banana chahte hai wo name likhe.
Sharing setting -
Sharing setting me all boxes ko tick mark kar ke next par click kare.
Blog ko Google analytics me kaise add kare ?

2. Property setup :
Property setup me apne blog ka Name likhe, Country select kare, Time zone set kare aur Currency select kare. Aur Next par click kare.
Blog ko Google analytics me kaise add kare ?

3. About your business :
Yaha blog ki Category select kare, agar apke blog ki category alag hai to other select kare.
Aur blog ke members select kare, agar apka blog business small hai to 1-10 members select kare. Aur create par click kare.
Blog ko Google analytics me kaise add kare ?

Create par click karne ke baad Google Analytics term and services ka page open ho jayega use Accept kare.

Uske baad agar apko Google Analytics ke new updates aur offers ke bare me email notification chahiye to all boxes ko tik mark kare. Aur save par click kare.

Ab apka Google Analytics ka account create ho gaya hai.
Uske baad Blog ko Google Analytics me connect karne ki step follow kare.

Save par click karne ke baad new page open ho jayega.

Step :
1. Stream measuring :
Stream measuring me web select kare.
Website ko Google analytics me kaise submit kare ?

2. Setup data stream :
1. Yaha https select kare.
2. Blog ka URL Enter kare.
3. Blog Name likhe.
4. Enhanced Measuring on kare.
Aur Create Stream par click kare.
Blog ko Google analytics me kaise add kare ?

Create Stream par click karne ke baad new page open ho jayega.

3. Tagging Instructions : 
Tagging Instructions me Add new on page tag select kar ke Global site tag select kare. Uske baad apko ek code mil jayega us code ko copy kare.
Blog ko Google analytics me kaise add kare ?

Code ko copy karne ke baad blog Dashboard open kar theme section me jaye. Uske baad Edit html par click kar ke <head> tag ke niche code ko paste kare.

Global site tag Code ko blog theme ke html file me <head> section me add karne se Google Analytics me blog website successfully add ho jayegi. 👍

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form