Canonical URL issue kya hai ? Ise kaise solve kare ?

Canonical URL issue kya hai ? Ise kaise solve kare ?
Canonical URL issue kya hai ? Ise kaise solve kare ?
Hello friends,
Sabse pahle hum canonical kya hota hai iske bare me jaan lete hai.
Jab Google search engine ke bots ko same article alag - alag blog ke URL me milta hai toh canonical URL issue ban jata hai.

Google search console me canonical issue kyu ata hai ?
Jab hum new blog banate hai aur post publish karte hai toh search engine ke bots humare blog ko alag - alag point of view se crawl kar ke access karta hai.
Agar apke blog ka URL https:// Example.com hai toh search engine ke bots jab blog ko crawl karta hai to 4 URL access karta hai.
For Example :
1. http://Example.com
2. https://Example.com
3. http://www.Example.com
4. https://www.Example.com.
Ye sab ek hi blog ke URL hai lekin search engine bots ise alag - alag blog ke URL samaj leta hai. Isliye humare blog ka article sabhi URL me same hone ki wajah se search engine ke bots humare blog post ko duplicate ya canonical URL bata deta hai.


Canonical URL issue ko solve karne ke liye kya karna hoga ?
Hume search engine ke bots ko coding ki madat se ye batana hoga ki ye sab URL ek hi blog ke URL hai, aur iske liye hume blog ke html file me Cannonical tag lagana hoga. 

Is problem ko solve karne ke liye niche diye steps ko follow kare.

Canonical URL issue kaise solve kare ?
Step 1. Sabse pahle blog ka dashboard open kare aur theme section me jaye.

Step 2. Theme section me jane ke baad sabse pahle theme ka backup le aur Edit HTML par click kare.

Step 3. Ab apke samne theme ki HTML file open ho jayegi, yaha apko <head> tag Find karna hai. Line no. 4 ya 5 me apko <head> tag mil jayega.

Step 4. Jab <head> tag mil jaye toh.....

☝️ Is code box me diye code ko copy kare aur Dhyan de code box me diye http://example.blogspot.com ki jagah apne blog ka domain name likhe aur <head> tag ke thik niche paste kare.

Is canonical tag ko blog theme ke HTML file me <head> tag ke niche paste karne se canonical URL ka problem 100% solved ho jayegi. 👍

Smartbtechnic

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form