Blog me Meta tag description kaise add kare ?
Hello friends,
Blog me meta tag description add karne se blog ka SEO badh jaata hai aur ( SEO ) search engine optimization badh jane se search engine me humare blog ki ranking badhne lagti hai, jisase blog ki traffic bhi badh jati hai.
Meta tag kya hota hai ?
Meta tag ek data code hota hai jise blog ke Html file me add karte hai. Meta tag ka istemal web crawlers ko apne blog ke bare me jankari dene ke liye kiya jata hai. Meta tag add karne se web crawlers ko humare blog ki puri jankari mil jati hai. Jaise
- Blog ka name kya hai.
- Blog ka description kya hai.
- Blog me keywords konse hai.
- Blog ka subject kya hai. Matlab blog me kis topic par posts likhe hai.
- Blog ki language kya hai, blog kis language me likha hai.
- Blog ke author ka naam kya hai.
- Email id kya hai.
- Blog kis country se hai.
Is tarah meta tag add karne se web crawlers ko humare blog ki puri jankari mil jati hai. Aur jab web crawlers ke pass humare blog ki puri jankari hoti hai to humare blog ka SEO badh jata hai jisaki wajah se humare blog ki ranking increase hone lagti hai. Aur jab koi search engine me humare blog ke keywords search karte hai toh search engine unhe humare blog ka Page show karata hai. aur is tarah humare blog ka traffic bhi badhne lagta hai.
Blog me meta tag add karne ke fayde kya hai ?
jab search engine ke crawlers humare blog ke html file ko crawl karte hai, to Html file ke data ko read karne se web crawlers ko humare blog ke bare me jankari mil jati hai. isliye ager hum description aur keyword ki meta tag file banaker html file me add karte hai to search engine ko humare blog ke keywords find hone me asani ho jati hai. Isase humare blog ki ranking badh jati hai. Aur humare blog ke posts search engine me 1st page par show hone lagte hai. Jisase humare blog ka traffic badhne lagta hai.
isliye hume meta tag Description code blog theme ke Html file me jarur add karna chahiye. Meta tag Description Search engine optimization ( SEO ) ke liye bohot important hota hai.
Meta tag description kaise banaye ?
<-- Meta Tags ~
Smartbtechnic.blogspot.com ->
<meta content= 'Your Blog Description' name='Description' />
<meta content= 'keyword1, keyword2, keyword3' name='keywords'/>
<meta content= 'Author Name' name= 'Author' />
<meta content= 'Author Email Address' Name= 'Email' />
<meta content= 'all' name= 'robots' />
<meta content= 'index, follow' name= ' robots' />
<meta content= 'Language Name' name= 'language' />
<meta content= 'Country Name' name= 'country' />
<meta content= 'blogger' name= 'generator' />
<! - /Meta Tags ~
Smartbtechnic.blogspot.com ->